in darakhton ke gahre ghane, khwab-alud sae mein khamosh, hairan chalta hua ek rasta kisi dur ki raushni ki taraf ja raha hai yahan se jo dekho to jaise kahin hadd-e-imkan talak gum-shuda waqt jaisi andheri gupha hai yahan se jo dekho to ummid jaisa bahut hairat-afza ajab silsila hai jo is tang, tarik nuqte se mumkin ke manind, ek raushni-zad qarye ki jaanib khula hai faza mein kahin nil-gun sabz, halke sunahre kahin bas hare hi hare sakht gahre bahut unghte dolte rang sukhe hue surkh patton ke manind us be-aman raste par pade hain kiran bhuli-bhatki koi un se aa kar achanak jo milne lagi hai to yak-bargi chaunk kar sab damakne lage hain andhere ki is hadd-e-imkan talak tang, gahri gupha mein sabhi yaad ke jugnuon ki tarah udte udte chamakne lage hain yahan se jo dekho to nadida manzil ki mauhum hairat se aankhen, har ek khwab ki nim wa hain tamannaon ke dil dhadakne lage hain!