ye shahr gham ke andheron mein raushni jaisa ye shahr maut ki wadi mein zindagi jaisa ye shahr jo kabhi dilli dikhai deta hai ye shahr jo kabhi lagta hai bambai jaisa kabhi akele mein is shahr ki siyasat par jo sochta hun to lagta hai ek dhoka hai ye shahr jis ki fazaon se main ne joda hai ek aisa rishta-e-ummid jo 'azim bhi hai ek aisa rishta-e-ummid jo qadim bhi hai ye shahr jis ke liye apna ganw chhoda ye shahr rah ke jahan qatl ho raha hun main ye shahr aa ke jahan pichhle aath barson se bikhar raha hun wajud apna kho raha hun main