tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho dil ye kahta hai ki tum mahram-e-asrar bhi ho tumhein fitrat ki bahaaron ki qasam ye tamasha-gah-e-alam kya hai nur-e-khurshid ka jaan-soz jahan-tab jamal aasmanon pe sitaron ka subuk-kaam khiram ye garajte hue baadal ye samundar ka kharosh ye parindon ke suhane naghme kahin badhti hui azmat kahin lutta hua husn be-sabab bukhl farawan-bakhshi qaht aalam masaib ke pahad aish ke khusrawi-o-tantana-e-faghfuri kahin parwez ke hile kahin changez ke zulm kahin shabbiri-o-ibrahimi raaz hi raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numud tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho ye tamasha-gah-e-alam kya hai nur-e-mahtab ki chadar le kar ghas soti hi rahi phul lab band rahe ped rahe mahw-e-sukut tund-rau baad-e-shumali ka tarida aaya phul teyora se gae ped hue sar-ba-sujud ghas ne chadar-e-mahtab mein karwat badli ye tamasha-gah-e-alam kya hai