saba us se ye kah jo us taraf ho kar guzarta ho qadam o jaane wale rok mera haal sunta ja kabhi main bhi jawan tha main bhi husn-o-ilm rakhta tha wahi main hun mujhe ab dekh agar chashm-e-tamasha ho jawani ki umangen shauq-e-ilmi zehn-o-tabbai zakawat hausla hilm-o-murawwat rahm-o-gham-khwari khayal-e-aqraba ahbab ke aibon ki sattari qanaat dost mujh se dur koson bughz-o-tammai gharaz aisi bahut si khubiyan thin maut ne lekin bana dala mere aatish-kade ko khak ka tuda shararon ke ewaz ab bah raha hai barf ka dariya musafir ghaur se sun gor se bachna hai na-mumkin