kahin suna hai gae zamanon mein log jab qafilon ki surat masafaton ko ubur karte to qafile mein ek aisa hamrah sath hota ki jo safar mein tamam logon ke pichhe chalta aur us ke zimme ye kaam hota ki aage jate musafiron se agar koi chiz gir gai ho jo koi shai pichhe rah gai ho to wo musafir tamam chizon ko chunta jae aur aane wale kisi padaw mein sari chizen tamam aise musafiron ke hawale kar de ki jo manazil ki chah dil mein liye shitabi se apne raste to pat aae par apni ujlat mein kitni chizen gira bhi aae ganwa bhi aae main sochta hun ki zindagani ke is safar mein mujhe bhi aisa hi koi kirdar mil gaya hai ki mere ham-rah jo bhi ahbab the manazil ki chah dil mein liye shitabi se raston par bahut hi aage nikal gae hain main sab se pichhe hun is safar mein so dekhta hun ki raste mein wafa murawwat khulus-o-isar mehr-o-ulfat aur is tarah ki bahut si chizen jagah jagah par padi hui hain main apne khud-sakhta usulon ki zard gathri mein sari chizen sametta hun aur apne ehsas ke jilau mein har ek padaw pa jaane walon ko dhundta hon par aisa lagta hai jaise mere tamam ahbab manzilon ko gale lagane bahut hi aage nikal gae hain ya main hi shayad wafa murawwat khulus-o-isar mehr-o-ulfat aur is tarah ki bahut si chizen sametne main kai zamane bita chuka hun