zaban

kisi buzurg se ek roz main ne ye puchha
bhala durusti-e-iman ka hai kya nuskha

kaha buzurg ne apni zaban achchhi rakh
girah mein bandh ke meri ye baat sachchi rakh

zaban durust to phir dil durust hai tera
ho dil durust to iman pukhta-tar hoga

zaban aham hai badan ke tamam aaza mein
mila zaban ko aala maqam aaza mein

zaban sanbhaal ke rakhta hai har koi taib
zaban jism mein hoti hai aql ki naeb

zaban dil ki jo baaten bayan karti hai
to dil mein baat zaban ki har ek utarti hai

zaban achchhi agar hai to dil bhi raushan hai
zaban kharab to dil zulmaton ka madfan hai

zaban se baat jis andaz ki nikalti hai
usi lihaz se dil ki ada badalti hai

tamam jism ko gar mamlikat kaha jae
to baat sab ki samajh mein ye saf aa jae

hukumat aankh ki mahdud hai basarat tak
to kan ki hai hukumat mahz samaat tak

har ek uzw ne paya hai ek hi khitta
zaban ke tabe magar mamlikat ka har hissa

zaban waqar ko insan ke badhati hai
yahi zaban magar sakh bhi ghatati hai

zaban achchhi hai teri to phir ye rahmat hai
zaban kharab hai teri to phir ye zahmat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close