zaban par zaiqa do paniyon ka hai samundar darmiyan hota to is se puchhte kis samt jaega musafir kal khunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein akela jaane wala jis taraf bhi jaega tanha nahin hoga mohabbat paniyon par khelti hogi so ye jal-makdiyon ki jal-sazi thi ki sahil se ulajh kar log lahron mein utarte aur un ko khauf hota aansuon ke paniyon mein khushk hone ka main in ko paniyon ki nazr karta hun so ai aadhe badan ki mehrban machhli tum apne aansuon ko khushk mat karna mohabbat paniyon par khelti hogi aur us ka zaiqa khul jaega jis waqt jaega musafir kal khunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein