aap be-wajh pareshan si kyun hain madam log kahte hain to phir thik hi kahte honge mere ahbab ne tahzib na sikhi hogi mere mahaul mein insan na rahte honge nur-e-sarmaya se hai ru-e-tamaddun ki jila hum jahan hain wahan tahzib nahin pal sakti muflisi hiss-e-latafat ko mita deti hai bhuk aadab ke sanchon mein nahin dhal sakti log kahte hain to logon pe tajjub kaisa sach to kahte hain ki nadaron ki izzat kaisi log kahte hain magar aap abhi tak chup hain aap bhi kahiye gharibon mein sharafat kaisi nek madam bahut jald wo daur aaega jab hamein zist ke adwar parakhne honge apni zillat ki qasam aap ki azmat ki qasam hum ko tazim ke mear parakhne honge hum ne har daur mein tazlil sahi hai lekin hum ne har daur ke chehre ko ziya bakhshi hai hum ne har daur mein mehnat ke sitam jhele hain hum ne har daur ke hathon ko hina bakhshi hai lekin in talkh mabahis se bhala kya hasil log kahte hain to phir thik hi kahte honge mere ahbab ne tahzib na sikhi hogi main jahan hun wahan insan na rahte honge wajh-e-be-rangi-e-gulzar kahun ya na kahun kaun hai kitna gunahgar kahun ya na kahun