jahan bhi chhanun ghani ho qayam karte chalo adab jahan bhi mile ehtiram karte chalo har ek zaban ko yaro salam karte chalo giroh ki hai na firqe ki aur na mazhab ki zaban wirasat-e-insaniyat hai hum sab ki zaban ke bab mein man aur tu ki had kaisi koi zaban ho insan ko us se kad kaisi zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah zaban tasalsul-e-tarikh-e-zindagani hai zaban manazil-e-tahzib ki kahani hai zaban bahte hue waqt ki rawani hai nazar mein ho jo bulandi bhi aur wusat bhi to har zaban mein ek husn bhi hai azmat bhi wo raat ka hai pujari sahar ka dushman hai jo hai zaban ka dushman bashar ka dushman hai zamin ka husn hai kheton ki tazgi hai zaban rahat ki lai hai to panghat ki ragni hai zaban gali ka shor gharon ki hamahami hai zaban junun-e-zist ki aahat hai gungunahat hai zaban hayat ke honton ki muskurahat hai fareb-o-maslahat-o-makr-o-rasmiyat nahin riya ka zikr bayan-e-takallufat nahin zaban ahl-e-siyasat ke bas ki baat nahin zaban machalti hai mitti pe chahchahon ki tarah zaban nikalti hai chilman se zamzamon ki tarah zaban ubalti hai aangan ke qahqahon ki tarah zaban banti hai chaupal mein jawan ki tarah zaban banti hai baithak mein dastan ki tarah zaban dhalti hai bazar mein dukanon mein zaban chalti hai kuchon mein kar-khanon mein zaban qadam-ba-qadam sidhiyon pe chadhti hai zaban pyar mohabbat se aage badhti hai na daftaron na kahin filon mein dhalti hai zaban dharti ke sine se lag ke chalti hai zaban labon ka saliqa dilon ka nur bhi hai zaban qaum ki izzat bhi hai ghurur bhi hai zaban awam ki mehnat bhi hai shuur bhi hai kisi shuur se aakhir hamein adawat kyun koi zaban ho insan ko us se nafrat kyun zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah