jab raat khwabon ke silsile le kar utarti hai to shab-zade apne khwab saja kar so jate hain magar meri viran aaankhon se nind ye kah kar rukhsat ho jati hai ki mujhe sirf un aaankhon mein raat katni hai jahan khwabon ki hukmarani hai magar use ye kaun batae ki mera khwab ek muddat se lapata hai tab se meri aaankhon ne nind ka zaiqa nahin chakha main ne shab ko apne gum-shuda khwab ki alamaten batain to wo dhire se muskura di aur boli: main ne sab se anmol khwab tumhaari aaankhon mein sajaya tha ye kah kar shab ne har aankh mein chhape mare magar mera khwab baramad na hua is ne kaha: tumhaara khwab tumhaare andar se churaya gaya hai agar tum apni nasl ko be-khwabi ke azab se bachana chahte ho to tumhein apna khwab khud hi dhundhna padega tab se main rat-jagon ki nigahbani mein apne andar se apna chori-shuda khwab talash kar raha hun