jalata diye waqt ki mahfilon mein jabinon pe rulta samata dilon mein jagata nai dhadkanen qafilon mein zamana guzarta chala ja raha hai guzishta ko khwab-e-faramosh karta har imroz ko shamil-e-dosh karta fusun-zar-e-dauran ko gul-posh karta zamana guzarta chala ja raha hai basera taghayyur ki banhon mein leta talawwun ki amwaj par naw kheta ek ek pal pe farda ko aawaz deta zamana guzarta chala ja raha hai qadam mah-o-khawar ke zinon pe dharta hawadis ki gahraiyon mein utarta mah-o-sal ki naddiyan par karta zamana guzarta chala ja raha hai ulajhta haqaeq ke mehr-o-ghazab se ubharta bahaar-o-khizan ke aqab se nikalta hua halqa-e-roz-o-shab se zamana guzarta chala ja raha hai riwayat ke zehn-o-paikar badalta jahan-dar qadron ke tewar badalta masail ke asnam-o-azar badalta zamana guzarta chala ja raha hai batata ki mudti hai tarikh ki rau ye kahta ki unchi hui shama ki lau faza ta khala dalta apna partaw zamana guzarta chala ja raha hai sunata kisi kohkan ka fasana banata kisi sohni ko nishana sanbhaale hue dard ka taziyana zamana guzarta chala ja raha hai kisi saz se khelta rag jaise bhadakta is andaz se aag jaise koi chot khaya hua nag jaise zamana guzarta chala ja raha hai churae nazar kaj-adaon ki surat liye barq-e-pinhan ghataon ki surat bagule samete hawaon ki surat zamana guzarta chala ja raha hai