zindagi ke liye

dosto shahr-e-khuban se wapas chalo
fitrat-e-kakul-o-rukh ke unwan wahi

sham-e-hirman wahi soz-e-pinhan wahi
ek hi dastan ek hi guftugu

ek hi aarzu ek hi justuju
dil-nawazi wahi jaan-gudazi wahi

sargirani wahi sarfaraazi wahi
ek taraf chandni muskuraati hui

ek taraf zindagi khak udati hui
ek hi daera ek hi rahguzar

ek mehwar pe ghume kahan tak nazar
ek afsana ek ragni ek lai

zindagi hai ki gardish mein ek chaak hai
dosto shahr-e-khuban se wapas chalo

lamhon ki sarsaraati hui aanch se
pighle pighle se hain ruh ke aaine

dosh par apni zulfen pareshan kiye
zindagi aai hai kuchh taqaze liye

zindagi hir bhi hai zulekha bhi hai
zindagi sohni bhi hai laila bhi hai

zindagi shoala bhi zindagi lala bhi
zahr ka jam bhi shahd ka pyala bhi

zindagi apne jalwon ki jhilmil liye
zindagi apni kirnon ka mahmil liye

dhundhti hai kisi qais ke pyar ko
dhundhti hai kisi dil ke bimar ko

waqt ka har taqaza hai ek be-sutun
kitna sangin hai khusrawi ka fusun

zindagi ko bhi ek kohkan chahiye
zindagi ko bhi ek tesha-zan chahiye

dosto shahr-e-khuban se wapas chalo
dosto shahr-e-khuban se wapas chalo

hir ke waste sohni ke liye
zindagi ke liye aadmi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close