zamin ek muddat se haft-asman ki taraf sar uthae hue ro rahi hai zamin apne aansu bahut apni hi kokh mein bo rahi hai zamin dil-kushada hai kitni falak ke utare hue bojh bhi dho rahi hai faza par bahut dhund chhai hui hai jawan gul-badan shahazade zamin ke dulare ujadti hui bazm ke chand tare kati gardanon goliyon se chhide jism ki rut sajae lahu mein nahae zamin ki taraf aa rahe hain zamin ek muddat se is kar-o-bar-e-sitam mein ghiri hai zamin ro rahi hai magar us ke aansu ki tahrir raushan hai itni ki aainda mausam isi zinda tahrir se jagmagate rahenge agar is ke shahzade yunhi lahu mein nahate rahenge to ek roz tarikh un ke liye hashr barpa karegi