batao kaun gum hua, wo ham-nafas gaya kahan nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan ye raat, din ke silsile jo hain hamare darmiyan hamari koi ibtida na hai hamari intiha bas ek muhib fasla bas ek ajib silsila ye jo bhi kuchh nazar mein hai safar mein hai, safar mein hai jo raazdan-e-waqt the unhen kahin se lao ab sanwar den jo zindagi jo aagahi ata karen wo be-niyaz aadmi ki jaise koi raushni wo hast-o-bud aashna wo jin ka ilm la-zawal o be-karan na gum hain wo na dur hain jo dil ki aankh band ho to is mein un ki kya khata batao kaun gum hua wo ham-nafas gaya kahan nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan