munderon se jab dhup utri abhi raat jagi nahin thi abhi khwab ka chand sahra mein soya hua tha samundar ke baalon mein chandi chamakti nahin thi kisi taq mein bhi diye ki koi lo bhadakti nahin thi fazaon mein giton ki mahkar thi parinde abhi aashiyanon ko bhule nahin the wo sapnon mein khoi hui thi zamane pe jab dhup utri to us ne badan ko sameta nahin tha ye mitti ki zarkhezi jagi nahin thi so jab raat utri zamin khwab khushbu ye mausam ye main meri aankhen mera dil use ro rahe the zamane par jab raat utri