zindagi ke maile mein khwahishon ke rele mein tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele mein waqt ki rawani hai bakht ki girani hai sakht be-zamini hai sakht la-makani hai hijr ke samundar mein takht aur takhte ki ek hi kahani hai tum ko jo sunani hai baat go zara si hai baat umr-bhar ki hai umr-bhar ki baaten kab do-ghadi mein hoti hain dard ke samundar mein an-ginat jazire hain be-shumar moti hain aankh ke dariche mein tum ne jo sajaya tha baat us diye ki hai baat us gile ki hai jo lahu ki khalwat mein chor ban ke aata hai lafz ki fasilon par tut tut jata hai zindagi se lambi hai baat ratjage ki hai raste mein kaise ho baat takhliye ki hai takhliye ki baaton mein guftugu izafi hai pyar karne walon ko ek nigah kafi hai ho sake to sun jao ek roz akele mein tum se kya kahen jaanan is qadar jhamele hain