sakhi phir aa gai rut jhulne ki gungunane ki siyah aankhon ki tah mein bijliyon ke dub jaane ki subuk hathon se mehndi ki hari shakhen jhukane ki lagan mein rang aanchal mein dhanak ke muskurane ki umangon ke subu se qatra qatra mai tapakne ki ghanere gesuon mein adh-khili kaliyan sajaane ki bayaban sabza-e-nau-khez se aabaad hote hain sakhi tum bhi jo dil apna basa letin to kya hota haya hai khauf hai pindar hai zid hai ye kya shai hai hamesha iltijaen raegan jati rahin meri kabhi meri khushi ki bhi dua letin to kya hota ye kaisi aagahi hai jis ki mashal hath mein le kar sada tanhaiyon ke des mein phirti ho aawara ye ek bim-e-shikast-e-khwab ye chhu lun to kya hoga usi se ho gai har ishrat-e-maujud sad para ba-juz ek ruh-e-nalan chashm-e-hairan umr-e-sar-gardan nahin taqsir-e-parwaz-e-nazar ka koi kaffara qarar-e-qalb-zar-e-hind war-e-barnai-e-yunan tajlli-e-al-e-ibrahim par paiham jo utri thi tadapta shoala-gun khun jahiliyat ki nawaon ka chamak reg-e-rawan ki sar-bulandi nakhl-e-sahra ki dayar-e-'hafiz'-o-'khayyam' ki udti hui khushbu nigah-e-'ghaalib'-o-'iqbaal ki geti-shikan masti surur-e-justaju maghrib ki matwali hawaon ka sabhi paya magar darman-e-dard bebasi mushkil ye ek aasudgi chehre pe ye thahraw aankhon mein ye ashkon se bhari chhagal ye be-parda-o-khud-sar dil chatanen dahr ki aatish ko chhu kar bhi nahin pighlin na jaane kaun se ajza hain is uftad mein shamil ye nirmal jal ka chashma ye dil-e-be-qaid-o-be-payan use bhi samt milti us ki bhi ek rahguzar hoti shabab apne jalal-e-hashr-saman ki qasam khata sharafat be-zaban fitrat ke dukh ki chaaragar hoti na hoti aarzu nairang-e-hasti ki tamashai wo us badhte humakte karwan ki ham-safar hoti