zara socho

farz karo ki sare jaanwar baat bhi karte hum se
un ke jo ji mein aa jata kah dete ek dam se

darwaze par kutta kahta bhuke hain do din ke
koi dawa bhi de do dekho makkhi zakhm pe bhinke

bawarchi-khane mein chyunti shakar mangti rahti
bas do dane bas do dane har phere par kahti

chidiya udte phirte khidki par aawaz lagati
bachchon ke kamre mein chhup kar dal ke dane khati

gae bail sabzi ke thele walon se lad jate
dande kha kar galiyan bakte dil ki aag bujhate

billi dudh ka pyala pakde gosht mangti rahti
din bhar leti dadi jaisi apni baat hi kahti

bakre ki qurbani par kuchh bakre matam karte
murghe bhi is majlis mein munh latka kar gham karte

sas bahu ke jhagde ki chhipkiliyan shahid hotin
shauhar ki aamad par sara qissa wo hi rotin

gharaz ke sari duniya mein ek shor sa barpa rahta
chup ho jao chup ho jao sara aalam kahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close