dasht ki be-payan wusat mein kohsaron ke daman mein zarra apne hone aur na hone ka dukh jhel raha tha zarra jo khud apne wajud mein ek mukammal duniya hai jis ke batn mein sara nizam-e-shams-o-qamar poshida hai jis ki wahdat ke sine mein nazar na aane wali kasrat ka jalwa hai ahl-e-nazar ne pichhli sadi mein is pamal zamir ke andar is be-nam wajud mein muzmar us taqat ki gawahi di hai jo is ke bedar khamir mein sadiyon tak khwabida rahi hai ahl-e-hunar ahl-e-hikmat ne jab is khufta quwwat ka idrak kiya zarre ka dil chaak kiya sadiyon ki sahmi hui na-asuda mahrumi ko be-bak kiya isi tawanai ki badaulat isi haqir se be-tauqir se khakistar zarre ne ek din hiroshima ko khak kiya