ab koi sahra na unton ki qataren ghantiyan si jagmagati khwahishon ki dhyan ke kohre mein lipti gungunati hain magar mizrab-e-ainda safar ke raston ke saz se naraaz hain main usi andhi gali ki qabr mein marne laga bhag nikli thi jahan se zist paidaish ke dukh de kar mujhe aankh se chipke nazaron ke hazaron dagh hain jo waqt ki barish se bhi dhulte nahin kaun si diwar mein rakhne hain kitne kaun darwazon ko kaisi chat dimak ki lagi hain kaun si chhat tak kisi ne sidhiyon mein thokaren kitni rakhi hain har kahani yaad hai sun mere ham-zad sun! zindagi ke khoj mein ab hijraten wajib hain lekin sarhadon se mawara hain ya hawaen ya sadaen ya parinde main tamanna ke jahazon ka musafir ya passporton aur wison ke air pocket daraate hain mujhe