jhutpute ke shahr mein beganagi ki lahr mein madum hoti raushni ke darmiyan zist ke panw tale aae hue log hain ya chyuntiyan tan badan ki rehl par mohmal kitaben zard chehron ki khulin manzaron ki khojti binaiyan mazur hain yaad rakhne ki tamanna bhulne ki aarzu hafize ki band mutthi mein thaharta kuchh nahin har qadam khwab o khayal wasl ki lazzat liye zat ke nile samundar mein kahin in jaziron ki hawa mein sans lete jo muqaddar mein nahin dhundte hain kashtiyon ka rasta har subh ke akhbar mein khud-kalami ki sadak par dur tak (ladkhadate zard patton ki tarah) kholte hain kashmakash ki gathriyan khulti nahin bhigte hain tez barish mein nadamat ki magar ruh ki aaludgi dhulti nahin