kal talak jo dharti par sar-buland parcham tha aaftab ki surat rang jis ke chehre ka dur tak chamakta tha aaj us se lipti hain tiddiyan hawaon ki surkhiyon ke shoalon ko le rahi hain narghe mein badliyan fazaon ki 'marx'-ji ke putle par baitha kala kawwa ek beat karne wala hai pas hi mein nara ek inqalab zindabaad gunjta hai rah rah kar