main khadi thi zebra crossing par is ummid par shayad wo idhar se guzrega aur ek pal ruk kar khud se wo ye bolega apni barq-raftari par main khud pasheman hun zebra crossing se mujh ko ek pal de de main jahan pe khud ruk kar khud pe bhi nazar dalun aur bas yahi lamha khwahishon ki jhilon par barf ki tarah jam kar mere zehn-o-dil par bhi zebra crossing si linen bana dega aur ye bhagte lamhe kuchh ghadi ko thahre to tum bhi yaad aaoge hum bhi yaad aaenge