kabhi waqt ki sans mein hont uljha ke dekhe hain tum ne ki is bad-guman mausamon ke mughanni ki tanen nihan khana-e-dil mein gahri khamoshi ki haibat giraati chali ja rahi hain azal se abad tak bipharte hue sail-e-be-maigi mein kabhi dil ukhadte hue shahr girte hue dekh pae ho tum kabhi bhige bhige se diwar-o-dar mein ki bachpan ki galiyon makanon mein barish ki aawaz se dil dahalte hue kisi mushtarak khauf ki aahaton se dhadakte hue baam-o-dar aur zine musalsal hawa aur barish ki aawaz chalti hui kabhi munh-andhere ki taqdis mein dur se aati gadi ki siti ko sunte hue tum ne socha hai un ke liye jin ke qadmon mein manzil musalsal azab aur khwabon se tabir tak dur hai kabhi sham ki sansanati hawa mein thithurti khamoshi ki sahmi sada sun ke darwaza khola hai un ke liye jin ke hathon ki larzish mein dastak nahin mujhe puchhna hai ki khulte hue phul chalti hawa aur guzre mah-o-sal ki dastakon par na ho sakne walon pe aansu bahae hain tum ne ki main raat ki ek hichki mein thahri hui sans hun aur tumhaari ghani nind ke bazuon se phisalta hua lams hun