zindagani ka khala ye na bhar paya kabhi lala-o-gul ko kabhi pyar kiya raat-bhar taron ko bedar kiya kam na hoti thi magar dil ki kasak dil ka gham aankhon se barsaya kabhi ye na bhar paya kabhi zindagani ka khala bhar liya us mein kabhi dard-e-chaman kabhi be-nam maqasid ki lagan jin se ehsas bhi jata tha bahak shisha-e-dil ko bhi chhalkaya kabhi ye na bhar paya kabhi zindagani ka khala fan ki dewi ne bhi barsai sharab waqt ki mauj ne phenke dur-e-nab jin se aai mere khwabon mein chamak ji zara un se bhi bahlaya kabhi ye na bhar paya kabhi zindagani ka khala