tapti rahon se chal chal ke jab chhanw ki khwahish bhi na rahi aashiqon ki rawani rok to li qatra qatra ummid bahai ye ishq kahan le jaega be-khwab saweron ki aawaz pur-nur shabon ko bhul gae andaz-e-bayan mein ulajh gae shirin labon ko bhul gae ye ishq kahan le jaega sadiyon ki thakan se jit ke bhi ek pal ki nirasha sah na sake sagar pine ka dawa hai do ashk bahe bin rah na sake ye ishq kahan le jaega le gaya jahan le jaana tha kuchh khas maze ki jagah nahin jis ki khatir dil ko toden mar jaen ye wo wajh nahin ye ishq kahan le jaega hasti ke aur bhi muddaa hain hansne ke bahane aur bhi hain khwahish ke dariche hain har su aur gham ke fasane aur bhi hain ye ishq kahan le jaega