duniya mein tujh ko hai agar arman-e-zindagi tadbir se tu bandh le paiman-e-zindagi tab-o-tab-e-amal khalish-e-koshish-e-dawam un se baham pahunchta hai saman-e-zindagi kar le rafu tu joshish-e-kirdar se ise kyun kar raha hai chaak gareban-e-zindagi jis zindagi mein josh-e-khudi ka na ho khayal wo zindagi nahin kabhi shayan-e-zindagi kar nuh ban ke us ka to har-dam muqabla tufan-e-zindagi hai ye tufan-e-zindagi mahdud tu samajhne laga hai ise magar be-intiha wasia hai maidan-e-zindagi