main apne band kamre mein pada hun aur ek diwar par nazren jamae manazir ke ajube dekhta hun usi diwar mein koi khala hai mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai wahan makdi ne jal bun liya hai aur ab apne hi jal mein phansi hai wahin par ek murda chhipkili hai kai sadiyon se jo sakit padi hai ab us par kai jamti ja rahi hai aur us mein ek jangal dikh raha hai darakhton se parinde gir rahe hain kulhadi shakh par latki hui hai lakadhaare pe gidad hans rahe musalsal tez barish ho rahi hai kisi patte se gir kar ek qatra achanak ek samundar ban gaya hai samundar naw se ladne laga hai machhera machhliyon mein ghir gaya hai aur ab patwar sine se laga kar wo nile aasman ko dekhta hai jo yak-dam zard padta ja raha hai wo kaise ret banta ja raha hai mujhe ab sirf sahra dikh raha hai aur us mein dhum ki chadar bichhi hai magar wo ek jagah se phat rahi hai wahan par ek saya nachta hai jahan bhi pair dharta hai wahan par sunahre phul khilte ja rahe hai ye sahra bagh banta ja raha hai aur us mein titliyan dikhti hain paron mein jin ke nili raushni hai wo har pal tez hoti ja rahi hai so meri aankh mein chubhne lagi hai so main ne hath aankhon par rakhe hain aur ab ungli hata kar dekhta hun ki apne band kamre mein pada hun aur ek diwar ke aage khada hun