zindagi

hum kai bar tut kar bikhre
ladkhadae gire uthe sanbhle

ek ek sans hum pe bhaari hai
par safar aaj bhi ye jari hai

kaun hai ham-safar yahan apna
kaun hai mo'atabar yahan apna

zindagi ke ye marhale hain ajib
pesh aate hain hadse bhi ajib

kitni tisen dabi hain sine mein
kitni aahen ghuti hain sine mein

kitna ye imtihan leti hai
kitni mushkil se jine deti hai

koi aahat si dil mein rahti hai
chhat-patahat si dil mein rahti hai

odh rakkhi hain khokhli khushiyan
kuchh haqiqat nahin hai sara guman

chhune deti nahin hai sae ko
sang chalti hai bas dikhawe ko

kis qadar hum ko aazmaegi
aur kitna hamein sataegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close