raat baqi thi abhi jab sar-e-baalin aa kar chand ne mujh se kaha 'jag sahar aai hai jag is shab jo mai-e-khwab tera hissa thi jam ke lab se tah-e-jam utar aai hai' aks-e-jaanan ko wida kar ke uthi meri nazar shab ke thahre hue pani ki siyah chadar par ja-ba-ja raqs mein aane lage chandi ke bhanwar chand ke hath se taron ke kanwal gir gir kar dubte tairte murjhate rahe khilte rahe raat aur subh bahut der gale milte rahe sehn-e-zindan mein rafiqon ke sunahre chehre sath-e-zulmat se damakte hue ubhre kam kam nind ki os ne un chehron se dho dala tha des ka dard firaq-e-rukh-e-mahbub ka gham dur naubat hui phirne lage be-zar qadam zard faqon ke satae hue pahre wale ahl-e-zindan ke ghazabnak kharoshan nale jin ki bahon mein phira karte hain bahen dale lazzat-e-khwab se makhmur hawaen jagin jel ki zahr-bhari chur sadaen jagin dur darwaza khula koi koi band hua dur machli koi zanjir machal ke roi dur utra kisi tale ke jigar mein khanjar sar patakne laga rah rah ke daricha koi goya phir khwab se bedar hue dushman-e-jaan sang-o-faulad se dhaale hue jinat-e-giran jin ke changul mein shab o roz hain fariyaad-kunan mere bekar shab o roz ki nazuk pariyan apne shahpur ki rah dekh rahi hain ye asir jis ke tarkash mein hain ummid ke jalte hue tir
This is a great jumma tul wida shayari. True lovers of teri yaad sataye shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this patane shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!