resha-e-ashk pe tanke hue hum barg-e-malal qarya-e-wahshat o uftad mein hain khema-ba-dosh apne hisse ki jahangiri utha lae hain kya khabar kaun nazar turfa masihai ho kaun sa zahr tere hijr ka tiryaq bane bas isi kar-e-faraghat pe hai mamur ye dil jis pe khulte nahin asrar-e-talluq na mizaj apni hi dhan mein subuk-khez chala jata hai ek andesha-e-ijaz-e-talatum ki taraf jis ki tahzib pe tahrir hain name tere sahira dekh kabhi zist-mizajon ki taraf dekh kya rang tere khak-nashinon ka hua par tujhe fursat-e-nazzara-e-khashak nahin teri aankhon mein farozan hai sitaron ka wafur hum ki be-nur charaghon ke kharashida badan apni hi lau ki sakhawat se jale baithe hain hum jahangir-mizajon mein lute baithe hain