waqt kabhi thaharta nahin samundar ki lahron ki tarah mutawatir chalta rahta hai lekin tarik daldal mein phanse hue lamhe in saaton ka irtiash chand saniye ke sargam ke sae tamam umar ruh mein paiwast ho kar insan ka taaqub karte rahte hain rahm-e-mather ki shiryanen jaise bahren maujon ke muhib sae ki tarah makin-e-rahm ke nanhe wajud ko dhundhti hain bar bar mud mud ke pichhe dekhti hain ashk-bar magar guzra hua lamha baad-e-nasim ka ek jhonka aata nahin dobara kabhi thaharta nahin hai aab-e-rawan thaharti hain to sirf yakh-basta yaaden aur chand saniye ke liye tarik daldal se musalsal baramad hone wala sat suron ka sargam