jinhen sahar nigal gai, wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki, sharab dhundhta hun main mujhe namak ki kan mein mithas ki talash hai barahnagi ke shahr mein libas ki talash hai wo barf-bariyan huin ki pyas khud hi bujh gai main sagharon ko kya karun ki pyas ki talash hai ghira hua hai abr mahtab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai, wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main jo ruk sake to rok do ye sail rang-o-nur ka meri nazar ko chahiye wahi charagh dur ka khatak rahi hai har kiran nazar mein khar ki tarah chhupa diya hai tabishon ne aaina shuur ka nigah-e-shauq jal uthi hijab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main ye dhup zard zard si ye chandni dhuan dhuan ye talaten bujhi bujhi, ye dagh dagh kahkashan ye surkh surkh phul hain ki zakhm hain bahaar ke ye os ki phuwar hain, ki ro raha hai aasman dil o nazar ke motiyon ki aab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main ye talkh talkh rahaten, jarahaten liye hue ye khun-chakan latafaten kasafaten liye hue ye tar tar pairahan urusa-e-bahaar ka ye khanda-zan sadaqaten qayamaten liye hue zamin ki tahon mein aaftab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main jo marhalon mein sath the wo manzilon pe chhut gae jo raat mein lute na the wo dopahar mein lut gae magan tha main ki pyar ke bahut se git gaunga zaban gung ho gai, gale mein git ghut gae kati hui hain ungliyan rubab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main ye kitne phul tut kar bikhar gae ye kya hua ye kitne phul shakhchon pe mar gae ye kya hua badhi jo tez raushni chamak uthi rawish rawish magar lahu ke dagh bhi ubhar gae ye kya hua inhen chhupaun kis tarah naqab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main khusha wo daur-e-be-khudi ki justuju-e-yar thi jo dard mein surur tha to be-kali qarar thi kisi ne zahr-e-gham diya to muskura ke pi gae tadap mein bhi sukun na tha, khalish bhi sazgar thi hayat-e-shauq ka wahi sarab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main khulus-e-be-shuur ki wo zud-etabariyan wo shauq-e-sada-lauh ki hasin kham-kariyan nai sahar ke khal-o-khad, nigah mein base hue khayal hi khayal mein, wo hashiya-nigariyan jo de gaya fareb wo, shabab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main wo lal o lab ke tazkire, wo zulf o rukh ke zamzame wo karobar-e-arzu wo walwale, wo hamhame dil o nazar ki jaan tha wo daur jo guzar gaya na ab kisi se dil lage na ab kahin nazar jame samand-e-waqt ja chuka rikab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main na ishq ba-adab raha, na husn mein haya rahi hawas ki dhum-dham hai, nagar nagar, gali gali qadam qadam khule hue hain makr-o-fan ke madrase magar ye meri sadgi to dekhiye ki aaj bhi wafa ki dars-gahon ka nisab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun mein bahut dinon mein rasta harim-e-naz ka mila magar harim-e-naz tak pahunch gae to kya mila mere safar ke sathiyo! tumhin se puchhta hun main batao kya sanam mile, batao kya khuda mila jawab chahiye mujhe jawab dhundhta hun main jinhen sahar nigal gai wo khwab dhundhta hun main kahan gai wo nind ki sharab dhundhta hun main
This is a great tabish shayari. True lovers of tujhe sochta hoon shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore sharon shayari hindi. Please share if you liked this!!!