us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki main ne us dhup ko apni zamin par rakha kapas aur khajur ugai khajur se sharab aur kapas se apni mahbuba ke liye mahin malmal kati malmal ne us ke badan ko chhua us par phul nikal aae sharab ko zamin mein dabaya us par tad ke darakht ug aae is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki main ne us dhup ko apne dil par rakha jo sarson ka phul ban gai us phul se ek mausam paida hua jis ka nam main ne ishq aur sakhawat ka mausam rakh diya us mausam ke bij se ek rasta us ke ghar ki taraf nikla us bij se panch kabutar nikle bhari hui gagar wale faqir ke rauze par ja kar baith gae us ne mujhe dhup se bhari ajrak pesh ki main ne use tumhaare ghar ke zine par phaila diya taki tum dhup ki sidhiyon se mere dil mein utar sako mujhe yaad hai kabhi na kabhi kahin na kahin mera sitara tumhaare sitare ke qarib se guzra hai us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki main ne use samundar mein phaila diya hawa ne us ka ras chusa aur madhosh ho kar baadbanon se lipat gai samundar ke andar ek aur samundar nind se jaga donon ek dusre ke kharosh mein der tak is dhup mein aankhen munde lete rahe is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki phir main ne wo ajrak shahbaz qalandar ke ek faqir ko de di us ne mujhe dua ka ek baadal diya main jise apne sar par liye phirta hun