muqabla-e-husn

kulhon mein bhanwar jo hain to kya hai
sar mein bhi hai justuju ka jauhar
tha para-e-dil bhi zer-e-pstan
lekin mera mol hai jo in par
ghabra ke na yun gurez-pa ho
paimaish meri khatm ho jab
apna bhi koi uzw napo!

kosa dudh

to ye dudh kosa hai!
ye dudh hai aur kosa hai
jis se badan ki nasen ungh jati hain
jis se mere dil ki ba-qaeda dhadkanon mein
izafe ki surat nahin
ye wahi dudh hai jis ko farhad ki garmi-e-shauq ne
biston ki siyah chotiyon se utara
tu is ke lahu ki hararat ka juya hua
phir bhi kosa raha
ye wahi dudh hai
chandni ban ke jo garmiyon ke kisi mah ki chaudhwin raat ko
aasman par zamin par dilon mein nigahon mein
bahta hai lekin
kisi ke labon ko jalata nahin hai
ye suraj ka saya hai lawa nahin hai!
tum apne piyale ko bhatti mein rakh do!
ki ye dudh ubalta rahe
ye pyala bhi dhal jae
ye dudh jal jae
aur is tarah mushk-e-nafa bane
jis ki khushbu ki taqat na lae koi shakhs bhi
jis ki khushbu se har maghz se khun bahne lage!

ek sakit raat ka azab

mere bedroom mein zero ke balb ki
lahu-rang raushni sahmi hui hai
lihaf odhe badan tute pade hain
sirhane jagte hain narm bose
dahakti hain khumar-alud aankhen
mahakti hain, ukhadti garm sansen
magar sanson mein dil atke hue hain
lahu-rang raushni sahmi hui hai
main kachchi nind se jaga hua hun
wo kachchi umr ki tuti hui hai

ecstasy

sabz maddham raushni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm sanson ki mahak
bazuon ke sakht halqe mein koi nazuk badan
silwaten malbus par aanchal bhi kuchh dhalka hua
garmi-e-rukhsar se dahki hui thandi hawa
narm zulfon se mulaem ungliyon ki chhed-chhad
surkh honton par shararat ke kisi lamhe ka aks
reshmin banhon mein chudi ki kabhi maddham khanak
sharmgin lahjon mein dhire se kabhi chahat ki baat
do dilon ki dhadkanon mein gunjti thi ek sada
kanpte honton pe thi allah se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jaen thahar jaen zara!

do sanson ki gahrai mein

do sanson ki gahrai mein
jahan lahu
behad bhitar ke, bilkul sakit
maidanon mein
chand ki har rangat bahta hai
wahan pali
ek nangi nari
behad bhitar ki rakhwali
chandi jaise lahu ko apne
badan mein bhi tanha pati hai,
shunwai se dur hamesha
shunwai ka lab hota hai
nangi nari
do sanson ke behad bhitar
sans ke ban mein
ghabraati hai
chand hamesha se bahta hai
sans hamesha hi jari hai
raat nigahon ke andar bhi
bahar bhi! ek bedari hai

be-KHudi

do saundhe saundhe se jism jis waqt
ek mutthi mein so rahe the
labon ki maddham tawil sargoshiyon mein sansen ulajh gai thin
munde hue sahilon pe jaise kahin bahut dur
thanda sawan baras raha tha
bas ek ruh hi jagti thi
bata tu us waqt main kahan tha?
bata tu us waqt tu kahan thi?

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close