khat khat kaun? sabiha! kaise? yunhi, koi kaam nahin pichhli raat bhyanak garage kya kuchh ho anjam nahin mera zimma main bhugtungi tum par kuchh ilzam nahin hum hain us akhlaq ke pairaw, hum hain us tahzib ke log jis mein iffat ek mafruza ismat jis mein 'zehni rog jazbon par pahre bithlana kya sauda-e-kham nahin? do bachchon ke bap to kya hai? dil ka ho insan jawan tum bhi aise ban jao na jaise manjhle bhai jaan sali aur salaj par lattu, biwi se hammam nahin un se wo tahzib se unchi, chhote bhai se waqti chah shauhar aae na aae lekin dewar ki takti hain rah khwahish ki takmil bhi jari, shadi bhi nakaam nahin naukar aur namak aur mazhab in tawilon se baz aao mardon ki aisi neki par aa jata hai mujh ko taw aurat ke honton par thappa ab maqbul-e-am nahin hafta bhar mein ek din aisi laghzish koi aib nahin zahir hai papa mammy ko hasil ilm-e-ghaib nahin kali raaton ki baaton se waqif subh-o-sham nahin jati hun, ghabraate kyun ho? kya andhiyari ghor nahin? do dil raazi ke bare mein qazi ka kuchh zor nahin lo ye das ka note tumhaari ujrat hai inam nahin