tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke makan ki chhat se latakte chhinke mein rakh diya tha tumhaari ammi ne bar-ha tum se ye kaha tha achaar kachcha hai' tel ki bu miti nahin hai abhi na ye martaban kholo hawa agar bartanon mein dakhil hui to ulli tamam phankon ka nas kar degi tum magar soch mein padi ho na jaane ammi ko kya hua hai achaar ki phank hi to hai na na koi hira, na koi moti, na koi sone ki chiz mangi na koi kapda na koi latta na koi sadi tum apni masum aur pyari si ankhdiyon mein hazar shikwe liye yunhi sochti rahogi magar jo ek dar tumhaari ammi ki aankh mein aa ke bas gaya hai use kahan tum samajh sakogi abhi to tum bachpane ki sarhad phalangne hi ki fikr mein ho abhi to tum meindhiyan banati ho, chotiyan kas ke bandhti ho kabhi kabhi tum sadak pe ja kar jhagadte bachchon ko dantti ho to tum ko chunni ka hosh hota hai aur na aankhon mein dar kisi ka agar kabhi tum zaban ka zaiqa badalne ka soch hi lo agar kabhi tum achaar ka martaban niche utar hi lo nazar bacha kar achaar bahar nikal hi lo to lamha bhar ke liye thahar kar ye soch lena tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke makan ki chhat se latakte chhinke mein rakh diya tha