zabanon ke ras mein ye kaisi mahak hai ye bosa ki jis se mohabbat ki sahba ki udti hai khushbu ye bad-mast khushbu jo gahra ghunuda nasha la rahi hai ye kaisa nasha hai mere zehn ke reze reze mein ek aankh si khul gai hai tum apni zaban mere munh mein rakhe jaise patal se meri jaan khinchte ho ye bhiga hua garm o tarik bosa amawas ki kali barasti hui raat jaise umadti chali aa rahi hai kahin koi saat azal se ramida meri ruh ke dasht mein ud rahi thi wo saat qarin-tar chali aa rahi hai mujhe aisa lagta hai tarikiyon ke larazte hue pul ko main par karti chali ja rahi hun ye pul khatm hone ko hai aur ab us ke aage kahin raushni hai
This is a great sharabi nasha shayari. Please share if you liked this!!!