paudeShayari By 11 Nov 2020 11:49:29 PMNazmnazar ko lubhate hain paudon ke manzar hasin aur nazuk hain phulon ke paikar samar un ke bante hain sab ki ghizaen ye bante hain bimariyon ki dawaen [...] Continue Reading... Share on:
tausi-e-shahrAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmbis baras se khade the jo is gati nahr ke dwar jhumte kheton ki sarhad par banke pahre-dar ghane suhane chhanw chhidakte bor lade chhitnar bis hazar mein bik gae sare hare bhare ashjar jin ki sans ka har jhonka tha ek ajib tilism qatil teshe chir gae un sawanton ke jism giri dhadam se ghayal pedon ki nili diwar katte haikal jhadte pinjar chhatte barg-o-bar sahi dhup ke zard kafan mein lashon ke ambar aaj khada main sochta hun is gati nahr ke dwar is maqtal mein sirf ek meri soch lahakti dal mujh par bhi ab kari zarb ek ai aadam ki aal Continue Reading... Share on: