nazar ko lubhate hain paudon ke manzar hasin aur nazuk hain phulon ke paikar samar un ke bante hain sab ki ghizaen ye bante hain bimariyon ki dawaen hamein milti hai paudon se oxigen ugao inhen dosto aangan aangan har ek pauda kharij kare aabi zarre tanaffus mein ye carbon jazb kar le hasin aur dilkash hai paudon ki duniya karo roz bachcho tum in ka nazara inhin se hai qariyon mein logon ko rahat ki paudon se shahron ki badhti hai zinat ye baat aaj 'hafiz' ki ai bachcho mano ki maktab ke aangan mein paude ugao