tausi-e-shahr

bis baras se khade the jo is gati nahr ke dwar
jhumte kheton ki sarhad par banke pahre-dar
ghane suhane chhanw chhidakte bor lade chhitnar
bis hazar mein bik gae sare hare bhare ashjar
jin ki sans ka har jhonka tha ek ajib tilism
qatil teshe chir gae un sawanton ke jism
giri dhadam se ghayal pedon ki nili diwar
katte haikal jhadte pinjar chhatte barg-o-bar
sahi dhup ke zard kafan mein lashon ke ambar
aaj khada main sochta hun is gati nahr ke dwar
is maqtal mein sirf ek meri soch lahakti dal
mujh par bhi ab kari zarb ek ai aadam ki aal
This is a great 32 bor shayari. True lovers of bike shayari in english will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore suhane mausam ki shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close