duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi zardar-e-be-nawa hai so hai wo bhi aadmi nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi tukde chaba raha hai so hai wo bhi aadmi abdal, qutub o ghaus wali-admi hue munkir bhi aadmi hue aur kufr ke bhare kya kya karishme kashf-o-karamat ke liye hatta ki apne zohd-o-riyazat ke zor se khaliq se ja mila hai so hai wo bhi aadmi firaun ne kiya tha jo dawa khudai ka shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda namrud bhi khuda hi kahata tha barmala ye baat hai samajhne ki aage kahun main kya yan tak jo ho chuka hai so hai wo bhi aadmi kul aadmi ka husn o qubah mein hai yan zuhur shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makr-o-zor aur hadi rahnuma hai so hai wo bhi aadmi masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan bante hain aadmi hi imam aur khutba-khwan padhte hain aadmi hi quran aur namaziyan aur aadmi hi un ki churaate hain jutiyan jo un ko tadta hai so hai wo bhi aadmi yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi pagdi bhi aadmi ki utare hai aadmi chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi aur sun ke daudta hai so hai wo bhi aadmi chalta hai aadmi hi musafir ho le ke mal aur aadmi hi mare hai phansi gale mein dal yan aadmi hi said hai aur aadmi hi jal sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal aur jhut ka bhara hai so hai wo bhi aadmi yan aadmi hi shadi hai aur aadmi biyah qazi wakil aadmi aur aadmi gawah tashe bajate aadmi chalte hain khwah-makhwah daude hain aadmi hi to mashal jala ke rah aur byahane chadha hai so hai wo bhi aadmi yan aadmi naqib ho bole hai bar bar aur aadmi hi payaade hain aur aadmi sawar huqqa surahi jutiyan dauden baghal mein mar kandhe pe rakh ke palki hain daudte kahaar aur us mein jo pada hai so hai wo bhi aadmi baithe hain aadmi hi dukanen laga laga aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khuncha kahta hai koi lo koi kahta hai la re la kis kis tarah ki bechen hain chizen bana bana aur mol le raha hai so hai wo aadmi table majire daere sarangiyan baja gate hain aadmi hi har ek tarah ja-ba-ja randi bhi aadmi hi nachate hain gat laga aur aadmi hi nache hain aur dekh phir maza jo nach dekhta hai so hai wo bhi aadmi yan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha aur aadmi hi khak se bad-tar hai ho gaya kala bhi aadmi hai ki ulta hai jun tawa gora bhi aadmi hai ki tukda hai chand-sa bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi ek aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain rupe ke jin ke panw hain sone ke farq hain jhamke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain kam-khwab tash shaal do-shaalon mein gharq hain aur chithadon laga hai so hai wo bhi aadmi hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai hai chhina jhapti aur bang tang hai dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai faulad se gadha hai so hai wo bhi aadmi marne mein aadmi hi kafan karte hain tayar nahla-dhula uthate hain kandhe pe kar sawar kalma bhi padhte jate hain rote hain zar-zar sab aadmi hi karte hain murde ke karobar aur wo jo mar gaya hai so hai wo bhi aadmi ashraf aur kamine se le shah-ta-wazir ye aadmi hi karte hain sab kar-e-dil-pazir yan aadmi murid hai aur aadmi hi pir achchha bhi aadmi hi kahata hai ai 'nazir' aur sab mein jo bura hai so hai wo bhi aadmi