KHub-surat moD

chalo ek bar phir se ajnabi ban jaen hum donon
na main tum se koi ummid rakhun dil-nawazi ki
na tum meri taraf dekho ghalat-andaz nazron se
na mere dil ki dhadkan ladkhadae meri baaton se
na zahir ho tumhaari kashmakash ka raaz nazron se
tumhein bhi koi uljhan rokti hai pesh-qadmi se
mujhe bhi log kahte hain ki ye jalwe parae hain
mere hamrah bhi ruswaiyan hain mere mazi ki
tumhaare sath bhi guzri hui raaton ke sae hain
taaruf rog ho jae to us ka bhulna behtar
talluq bojh ban jae to us ko todna achchha
wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
use ek khub-surat mod de kar chhodna achchha
chalo ek bar phir se ajnabi ban jaen hum donon

ek KHwab

ek hi khwab kai bar yunhi dekha main ne
tu ne sadi mein udas li hain meri chabiyan ghar ki
aur chali aai hai bas yunhi mera hath pakad kar
ghar ki har chiz sambhaale hue apnae hue tu
tu mere pas mere ghar pe mere sath hai 'sonun'
mez par phul sajate hue dekha hai kai bar
aur bistar se kai bar jagaya bhi hai tujh ko
chalte-phirte tere qadmon ki wo aahat bhi suni hai
gungunati hui nikli hai ghusl-khane se jab bhi
apne bhige hue baalon se tapakta hua pani
mere chehre par chhidak deti hai tu 'sonun' ki bachchi
farsh par let gai hai tu kabhi ruth ke mujh se
aur kabhi farsh se mujh ko bhi uthaya hai mana kar
tash ke patton pe ladti hai kabhi khel mein mujh se
aur kabhi ladti bhi aise hai ki bas khel rahi hai
aur aaghosh mein nanhe ko
aur malum hai jab dekha tha ye khwab tumhaara
apne bistar pe main us waqt pada jag raha tha

banjara-nama

tuk hirs-o-hawa ko chhod miyan mat des bides phire mara
qazzaq ajal ka lute hai din raat baja kar naqqara
kya badhiya bhainsa bail shutur kya gu mein palla sar-bhaara
kya gehun chanwal moth matar kya aag dhuan aur angara
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhaari hai
ai ghafil tujh se bhi chadhta ek aur bada biyopari hai
kya shakkar misri qand gari kya sanbhar mitha khaari hai
kya dakh munaqqa sonth mirach kya kisar laung supari hai
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
tu badhiya lade bail bhare jo purab pachchham jawega
ya sud badha kar lawega ya tuta ghata pawega
qazzaq ajal ka raste mein jab bhaala mar girawega
dhan daulat nati pota kya ek kumba kaam na aawega
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
har manzil mein ab sath tere ye jitna dera-danda hai
zar dam-diram ka bhanda hai banduq sipar aur khanda hai
jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon handa hai
phir handa hai na bhanda hai na halwa hai na manda hai
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
jab chalte chalte raste mein ye gaun teri rah jawegi
ek badhiya teri mitti par phir ghas na charne aawegi
ye khep jo tu ne ladi hai sab hisson mein bat jawegi
dhi put janwai beta kya banjaran pas na aawegi
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
ye khep bhare jo jata hai ye khep miyan mat gin apni
ab koi ghadi pal saat mein ye khep badan ki hai kafani
kya thaal katori chandi ki kya pital ki dibya-dhakni
kya bartan sone chandi ke kya mitti ki handiya chini
sab thath pada rah jawega jab lad chale ga banjara
ye dhum-dhadkka sath liye kyun phirta hai jangal jangal
ek tinka sath na jawega mauquf hua jab ann aur jal
ghar-bar atari chaupari kya khasa nain-sukh aur malmal
chalwan parde farsh nae kya lal palang aur rang-mahal
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
kuchh kaam na aawega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar
jab punji bat mein bikhregi har aan banegi jaan upar
naubat naqqare ban nishan daulat hashmat faujen lashkar
kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi takht chhatar
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
kyun ji par bojh uthata hai in gaunon bhaari bhaari ke
jab maut ka dera aan pada phir dune hain bayopari ke
kya saz jadau zar-zewar kya gote than kanari ke
kya ghode zin sunahri ke kya hathi lal amari ke
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
mafrur na ho talwaron par mat phul bharose dhaalon ke
sab patta tod ke bhagenge munh dekh ajal ke bhaalon ke
kya dabbe moti hiron ke kya dher khazane malon ke
kya bughche tash moshajjar ke kya takhte shaal doshaalon ke
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
kya sakht makan banwata hai kham tere tan ka hai pola
tu unche coat uthata hai wan gor gadhe ne munh khola
kya reni khandaq rand bade kya brij kangora anmola
gadh coat rahkalla top qila kya shisha daru aur gola
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
har aan nafa aur tote mein kyun marta phirta hai ban ban
tak ghafil dil mein soch zara hai sath laga tere dushman
kya laundi bandi dai dawa kya banda chela nek-chalan
kya mandar masjid tal kuan kya kheti badi phul chaman
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara
jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega
koi naj sametega tera koi gaun siye aur tankega
ho dher akela jangal mein tu khak lahad ki phankega
us jangal mein phir aah 'nazir' ek tinka aan na jhankega
sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara

abhi to main jawan hun

hawa bhi khush-gawar hai
gulon pe bhi nikhaar hai
tarannum-e-hazar hai
bahaar pur-bahaar hai
kahan chala hai saqiya
idhar to laut idhar to aa
are ye dekhta hai kya
utha subu subu utha
subu utha pyala bhar
pyala bhar ke de idhar
chaman ki samt kar nazar
saman to dekh be-khabar
wo kali kali badliyan
ufuq pe ho gain ayan
wo ek hujum-e-mai-kashan
hai su-e-mai-kada rawan
ye kya guman hai bad-guman
samajh na mujh ko na-tawan
khayal-e-zohd abhi kahan
abhi to main jawan hun
ibaadaton ka zikr hai
najat ki bhi fikr hai
junun hai sawab ka
khayal hai azab ka
magar suno to shaikh ji
ajib shai hain aap bhi
bhala shabab o aashiqi
alag hue bhi hain kabhi
hasin jalwa-rez hon
adaen fitna-khez hon
hawaen itr-bez hon
to shauq kyun na tez hon
nigar-ha-e-fitnagar
koi idhar koi udhar
ubhaarte hon aish par
to kya kare koi bashar
chalo ji qissa-mukhtasar
tumhaara nuqta-e-nazar
durust hai to ho magar
abhi to main jawan hun
ye gasht kohsar ki
ye sair ju-e-bar ki
ye bulbulon ke chahchahe
ye gul-rukhon ke qahqahe
kisi se mel ho gaya
to ranj o fikr kho gaya
kabhi jo bakht so gaya
ye hans gaya wo ro gaya
ye ishq ki kahaniyan
ye ras bhari jawaniyan
udhar se mehrbaniyan
idhar se lan-taraniyan
ye aasman ye zamin
nazara-ha-e-dil-nashin
inhen hayat-afrin
bhala main chhod dun yahin
hai maut is qadar qarin
mujhe na aaega yaqin
nahin nahin abhi nahin
abhi to main jawan hun
na gham kushud o bast ka
buland ka na past ka
na bud ka na hast ka
na wada-e-alast ka
ummid aur yas gum
hawas gum qayas gum
nazar se aas pas gum
hama-bajuz gilas gum
na mai mein kuchh kami rahe
qadah se hamdami rahe
nashist ye jami rahe
yahi hama-hami rahe
wo rag chhed mutriba
tarab-faza, alam-ruba
asar sada-e-saz ka
jigar mein aag de laga
har ek lab pe ho sada
na hath rok saqiya
pilae ja pilae ja
abhi to main jawan hun
the fragrance wafts o’er the dew
as flowers bloom, in every hue
a thousand melodies fill the air
as spring is here, in bridal wear
it’s time for cheer, bring out the wine
come back, the moment is divine
come fill the cup, don’t turn away
do not demur, do not delay
do cast your eye upon the spring
the scene’s a dream upon a wing
as evening falls, dark clouds appear
across the skies, from far and near
wine lovers will always have their say
as to the taverns, they wend their way
off with the skeptic look, my man
for i’m not naïve, nor weak nor van
heaven can wait, as can piety
for i’m still young, so let me be
yes, there’s talk of god, of fear
of salvation that’s never near
redemption, and the need to know
the after life, where souls will go
but man of god, do hark my word
is not your contention absurd
tell me dear man, hand on heart
can love and beauty stand apart?
when joy and fragrance fill the air
and lissome beauties, tall and fair
bewitching smiles, do lie in wait
how can our passions ever abate
sensuous glances, full of grace
entice one into their embrace
guiles of love, and passion’s sway
what mortal man can stay away?
okay, to cut the story short
your point of view, your kindly thought
i may agree with, i may see
but i’m still young, so let me be..
to walk along the mountain side
or trek the streams at eventide
to hear the nightingales in song
and blooming roses, all along
and then to chance upon your love
and see all worries, gloom dissolve
i guess it’s written in our stars
tears or joy, what shall be ours..
these tales of love, these songs of yore
are ones we have all heard before
some speak of youths full of flair
and others may merely be hot air
these skies, these meadows evergreen
are scenes that no one has ever seen
bounty in joy, calming in strife
they are the essence of our life
a life that’s short, that’s so finite
and so every breath holds delight
but is the end ever so nigh
no, no, not now, how can i die
i’ve long to go, i’ve much to see
for i’m still young, so let me be..
no bondage, nor freedom shall remain
no rise, no fall, no wax nor wane
no past, no present, no despair
no vows, no promises, no care
hope and despair, both beguiled
with past and future reconciled
all sense, all logic shall now depart
there’s just the wine, and the heart
come let the wine flow, let’s rejoice
oh nightingale, where is your voice
do sing of joy, draw out our pain
let just the cup, the ale remain..
let every voice sing out as one
drink on, the joy has just begun
a drink, a drink, don’t you see
for i’m still young, so let me be…

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close