bichhaDne ka irada hai to mujhse mashwara kar loShayari By 29 Oct 2020 02:38:53 PMSherbichhadne ka irada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat mein koi bhi faisla zati nahin hota Continue Reading... Share on:
ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiyeShayari By 22 Oct 2020 08:54:07 PMGhazalashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya kam-az-kam ehtijaj-e-khudai hai roiye [...] Continue Reading... Share on:
dosto mashware na do hum koAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitadosto mashware na do hum ko mashwaron se dimagh jalta hai ye kisi ne ghalat kaha tum se in khilaunon se ji bahalta hai Continue Reading... Share on:
jawed ke namAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmdayar-e-ishq mein apna maqam paida kar naya zamana nae subh o sham paida kar khuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar utha na shishagaran-e-farang ke ehsan sifal-e-hind se mina o jam paida kar main shakh-e-tak hun meri ghazal hai mera samar mere samar se mai-e-lala-fam paida kar mera tariq amiri nahin faqiri hai khudi na bech gharibi mein nam paida kar Continue Reading... Share on:
banjara-namaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmtuk hirs-o-hawa ko chhod miyan mat des bides phire mara qazzaq ajal ka lute hai din raat baja kar naqqara kya badhiya bhainsa bail shutur kya gu mein palla sar-bhaara kya gehun chanwal moth matar kya aag dhuan aur angara sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhaari hai ai ghafil tujh se bhi chadhta ek aur bada biyopari hai kya shakkar misri qand gari kya sanbhar mitha khaari hai kya dakh munaqqa sonth mirach kya kisar laung supari hai sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara tu badhiya lade bail bhare jo purab pachchham jawega ya sud badha kar lawega ya tuta ghata pawega qazzaq ajal ka raste mein jab bhaala mar girawega dhan daulat nati pota kya ek kumba kaam na aawega sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara har manzil mein ab sath tere ye jitna dera-danda hai zar dam-diram ka bhanda hai banduq sipar aur khanda hai jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon handa hai phir handa hai na bhanda hai na halwa hai na manda hai sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara jab chalte chalte raste mein ye gaun teri rah jawegi ek badhiya teri mitti par phir ghas na charne aawegi ye khep jo tu ne ladi hai sab hisson mein bat jawegi dhi put janwai beta kya banjaran pas na aawegi sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara ye khep bhare jo jata hai ye khep miyan mat gin apni ab koi ghadi pal saat mein ye khep badan ki hai kafani kya thaal katori chandi ki kya pital ki dibya-dhakni kya bartan sone chandi ke kya mitti ki handiya chini sab thath pada rah jawega jab lad chale ga banjara ye dhum-dhadkka sath liye kyun phirta hai jangal jangal ek tinka sath na jawega mauquf hua jab ann aur jal ghar-bar atari chaupari kya khasa nain-sukh aur malmal chalwan parde farsh nae kya lal palang aur rang-mahal sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara kuchh kaam na aawega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar jab punji bat mein bikhregi har aan banegi jaan upar naubat naqqare ban nishan daulat hashmat faujen lashkar kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi takht chhatar sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara kyun ji par bojh uthata hai in gaunon bhaari bhaari ke jab maut ka dera aan pada phir dune hain bayopari ke kya saz jadau zar-zewar kya gote than kanari ke kya ghode zin sunahri ke kya hathi lal amari ke sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara mafrur na ho talwaron par mat phul bharose dhaalon ke sab patta tod ke bhagenge munh dekh ajal ke bhaalon ke kya dabbe moti hiron ke kya dher khazane malon ke kya bughche tash moshajjar ke kya takhte shaal doshaalon ke sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara kya sakht makan banwata hai kham tere tan ka hai pola tu unche coat uthata hai wan gor gadhe ne munh khola kya reni khandaq rand bade kya brij kangora anmola gadh coat rahkalla top qila kya shisha daru aur gola sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara har aan nafa aur tote mein kyun marta phirta hai ban ban tak ghafil dil mein soch zara hai sath laga tere dushman kya laundi bandi dai dawa kya banda chela nek-chalan kya mandar masjid tal kuan kya kheti badi phul chaman sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega koi naj sametega tera koi gaun siye aur tankega ho dher akela jangal mein tu khak lahad ki phankega us jangal mein phir aah 'nazir' ek tinka aan na jhankega sab thath pada rah jawega jab lad chalega banjara Continue Reading... Share on:
wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkinAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherwo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin use ek khub-surat mod de kar chhodna achchha Continue Reading... Share on: