kal ek naqid-e-'ghaalib' ne mujh se ye puchha ki qadr-e-'ghaalib'-e-marhum ka sabab kya hai mujhe batao ki diwan-e-hazrat-e-'ghaalib' kalam-e-pak hai injil hai ki gita hai suna hai shahr-e-karachi mein ek sahab hain kalam un ka bhi 'ghaalib' se milta julta hai hamara dost tufaili bhi hai bada shaer agarche ek bade aadmi ka chamcha hai to phir ye ghaalib-e-marhum ki hi barsi kyun mujhe batao ki un mein khususiyat kya hai na 'zauq' ka hai kahin tazkira na 'momin' ka na zikr-e-'mir' kahin hai na yaum-e-'sauda' hai ye 'faiz' o 'mahir' o 'josh' o 'firaq' kuchh bhi kahen meri nazar mein to 'ghaalib' se zauq uncha hai mujhe to 'mir-taqi-mir' se hai ek lagaw ki 'mir' kuchh bhi sahi shaeri to karta hai ye rang lai hai 'ghaalib' ki party-bandi ki aaj sare jahan mein usi ka charcha hai ye rus wale jo 'ghaalib' pe jaan dete hain mere khayal mein is mein bhi koi ghapla hai kahan ke aise bade artist the 'ghaalib' ye chand ahl-e-adab ka propaganda hai ana ne mar diya warna shaer achchha tha natija ye ki jo hona tha us ka aadha hai likhi hai ek ghazal ki radif hone tak koi batae ki kya ye bhi sahw-e-imla hai kabhi hai mahw hasinon se dhaul-dhappa mein kabhi kisi ka wo sote mein bosa leta hai jo kah rahe hain ki 'ghaalib' hai falsafi shaer mujhe bataen ki bose mein falsafa kya hai jahan raqam ki tawaqqo hui qasida kaha tumhin kaho ki ye mear-e-shaeri kya hai sharab jam mein hai aur jam hathon mein magar ye rind-e-bala-nosh phir bhi pyasa hai jo shaeri ho tajammul-husain-khan ke liye wo ek tarah ki khushamad hai shaeri kya hai khitab o khilat o darbar ke liye us ne na jaane kitne amiron pe jal dala hai suna ye hai ki wo sufi bhi tha wali bhi tha ab is ke baad to paighambari ka darja hai kaha jo main ne ki padhiye to pahle 'ghaalib' ko to bole khak padhun muddaa to anqa hai mujhe khabar hai ki 'ghaalib' ki zindagi kya thi ki main ne hazrat-e-ghaalib ka film dekha hai suni jo main ne ye tanqid to samajh na saka ki is gharib ko 'ghaalib' se dushmani kya hai samajh gaya ki ye bakwas be-sabab to nahin dimagh ka koi purza zarur dhila hai badhi jo baat to phir main ne us ko samjhaya adab mein hazrat-e-ghaalib ka martaba kya hai bataya us ko ki wo zindagi ka hai shaer bahut qarib se duniya ko us ne dekha hai ajab tazad ki hamil hai us ki shakhsiyyat ajib shakhs hai barbaad ho ke hansta hai charagh-e-subh ki manind zindagi us ki ek aasra hai ek arman hai ek tamanna hai jo us ko rokna chaho to aur tez bahe ajib mauj-e-rawan hai ajib dariya hai chipak raha hai badan par lahu se pairahan rafu ki us ko zarurat hai aur na parwa hai wo likh raha hai hikayat-e-khun-chakan-e-junun jabhi to us ke qalam se lahu tapakta hai bas ek lafz ke parde mein dastan kahna ye fikr-o-fan ki bulandi usi ka hissa hai na kyun hon aaj wo mashhur puri duniya mein ki us ki fikr ka mauzua puri duniya hai pahunch gaya hai wo us manzil-e-tafakkur par jahan dimagh bhi dil ki tarah dhadakta hai kabhi to us ka koi sher-e-sada-o-rangin rukh-e-bashar ki tarah kaifiyat badalta hai ye hum ne mana ki kuchh khamiyan bhi thin us mein wo khamiyan nahin rakhta ye kis ka dawa hai wo aadmi tha khata aadmi ki hai fitrat ye kyun kahen ki wo insan nahin farishta hai jo chahte hain ki fauq-ul-bashar bana den use hamein to us ke un ahbab se bhi shikwa hai hazar logon ne chaha ki us ke sath chalen magar wo pahle bhi tanha tha ab bhi tanha hai kabhi wali kabhi waiz kabhi kharabaati samajh sako to samajh lo wo ek moamma hai agar ye sach hai ki alfaz ruh rakhte hain to ye bhi sach hai wo alfaz ka masiha hai