balli-maran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan samne tal ke nukkad pe bedon ke qaside chand darwazon pe latke hue bosida se kuchh tat ke parde aur dhundlai hui sham ke be-nur andhere sae aise diwaron se munh jod kar chalte hain yahan chudi-walan katre ki badi-bi jaise apni bujhti hui aankhon se darwaze tatole is be-nur andheri si gali-qasim se ek tartib charaghon ki shurua hoti hai ek quran-e-sukhan ka bhi waraq khulta hai asadullah-khan-'ghaalib' ka pata milta hai
This is a great salamat rahe jodi shayari. True lovers of punjabi galiyan shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this maran wali shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!