taqat ho kisi mein to mitae meri hasti dain hai mera nam laqab firqa-parasti main ne badi chaalaki se ek kaam kiya hai pahle hi mohabbat ka gala ghunt diya hai main fitne utha deti hun har uthte qadam se is desh ke tukde bhi hue mere hi dam se sarmaya-paraston ne janam mujh ko diya hai mazhab ke tassub ne mujhe god liya hai hai mulk ki taqsim ladakpan ki kahani us waqt to bachpan tha mera ab hai jawani ghabraata hai shaitan meri taqrir ke fan se main zahr ugalti hun zaban ban ke dahan se darkar hua jab bhi mujhe khun ziyaada main aa gai odhe hue mazhab ka libaada main desh ki qattala hun aur sab se badi hun bachchon ki bhi gardan pe chhuri ban ke chali hun goli ko sikha deti hun chalne ka qarina main chhed ke rakh deti hun mazlum ka sina har sukhe hue hont se leti hun tari main dam todne walon ki udati hun hansi main masumon ke man bap ka sar main ne liya hai bachchon ko yatimi ka laqab main ne diya hai hindu ka lahu ho ki musalman ka lahu ho matlab hai lahu se kisi insan ka lahu ho mil jae to main kis ka lahu pi nahin sakti majbur hun be khun piye ji nahin sakti har firqe ke logon ka lahu chat rahi hun faslon ki tarah sab ke gale kat rahi hun jis waqt jahan chahun wahan aag laga dun jis basti ko chahun use virana bana dun jis shahr ko phunka na makin the na makan tha uthta hua kuchh der agar tha to dhuan tha gulshan mere hathon yunhi taraj rahega main zinda rahungi to mera raj rahega taqat ho kisi mein to mitae meri hasti dain hai mera nam laqab firqa-parasti