ya khuda hind par karam farma is ki taklif kal-adam farma hain pareshan bahut hawas is ke nahin hamdard koi pas is ke faqr-o-faqa se paemal hai ab qarz mein is ka baal baal hai ab na hi sanat na ab tijarat hai sari aasudgi wo ghaarat hai ilm-o-fan se hai is ka ghar khali aql o idrak se hai sar khali achchhe atwar mit gae is ke nek kirdar mit gae is ke khulq hai ab na mehr-o-ulfat hai aatishi hai na ab ukhuwwat hai rang bilkul hai mulk ka badla sara pani hai chah ka gadla har taraf jahl hai ladai hai dushman aapas mein bhai bhai hai na mohabbat hai ab na hamdardi na dileri na ab jawan-mardi na rawa-dari o sharafat hai na ab amn-o-aman o rahat hai har taraf hai fasad hangama koi rustam hai aur koi gama ab kahan sulh-o-khair ki baaten jab hain kanon mein ghair ki baaten john-bill ki hain sazishen jari mulk par hain nawazishen jari ek se hai kabhi shanasai dusre ke liye kabhi sai kabhi in ko lada diya sab se kabhi un ko bhida diya sab se kabhi in ko police o thana hai aur kabhi un ko jail-khana hai yahi manzar yahan hai sham-o-sahar bas yahi ho raha hai aath pahar jaanta hai har ek ye sab baaten phir bhi khali nahin hawalaten wahi jang-o-jadal wahi jhagde wahi bughz-o-enad ke ragde ya khuda de hamein wo aql-e-salim ki samajh hum saken har ek scheme pad sake phir na koi zad hum par khul saken sare nek-o-bad hum par khatm kar den ye tafraqa-sazi aag mein jhonk den tabar-yazi sab karen mil ke mulk ki khidmat dur ho is ki usrat-o-nakbat hikmat o fan watan mein phailaen shahrahen masal ki khul jaen ilm o science mulk mein bhar den is zamin ko hum aasman kar den hum pe khul jaen sab wo aql ke raaz ho is ka europe ke turra-e-eazaz sanaton ki ho garm-bazari ganw ganw mein hon milen jari rail, motor, jahaz, tayyare khud ye tayar hum karen sare kabhi sahra ho mustaqar apna ho kabhi tapuon mein ghar apna manchester pe khak dalenge ghar se japan ko nikalen hum na rahen hum kisi ke bhi muhtaj mulk apna ho aur apna raj hum mein gar ittihad ho jae mulk aabaad shad ho jae