rashk-e-firdaus hai tera rangin chaman tujh pe gul-bash karte hain koh-o-daman tere mathe ki rekha hain gang-o-jaman teri mitti mein khwabida hain fikr-o-fan fakhr-e-yunan thi teri bazm-e-kuhan mere hindustan mere pyare watan dewtaon ki rishiyon ki ye sarzamin zarra zarra teri khak ka hai hasin chumta hai qamar roz teri jabin tere jalwe na hon kis liye dil-nashin tere zarre mein khurshid ki hai kiran mere hindustan mere pyare watan tere qadmon ki zinat hai godawari hai himala ka parbat tera santari hai haqiqat mein kashmir jannat teri zarre zarre mein tere hai ek zindagi desh ki shan hai taj ka bankpan mere hindustan mere pyare watan kis bala ki kashish tere kharon mein hai auj firdaus pinhan bahaaron mein hai ek naya bankpan kohsaron mein hai dilkashi kis qadar chand taron mein hai hai zamane se aala teri anjuman mere hindustan mere pyare watan mera mandir hai tu mera kaba hai tu mera malja hai tu mera mawa hai tu meri uqba hai tu meri duniya hai tu mera hai saz-e-dil mera naghma hai tu meri har sans tere liye naghma-zan mere hindustan mere pyare watan sab ko ulfat ke markaz pe launga main ekta ka diya phir jalaunga main apne hathon watan ko sajaunga main prem ke git har waqt gaunga main is tarah ka banaunga main sangthan mere hindustan mere pyare watan khun se apne dunga tujhe zindagi tere phulon ko dunga nirali khushi zarre zarre ko bakhshunga main raushni sab ko aisi sunaunga main ragni shanti ki bahaunga gang-o-jaman mere hindustan mere pyare watan