apne bistar pe bahut der se main nim-daraaz sochti thi ki wo is waqt kahan par hoga main yahan hun magar us kucha-e-rang-o-bu mein roz ki tarah se wo aaj bhi aaya hoga aur jab us ne wahan mujh ko na paya hoga!? aap ko ilm hai wo aaj nahin aai hain? meri har dost se us ne yahi puchha hoga kyun nahin aai wo kya baat hui hai aakhir khud se is baat pe sau bar wo uljha hoga kal wo aaegi to main us se nahin bolunga aap hi aap kai bar wo rutha hoga wo nahin hai to bulandi ka safar kitna kathin sidhiyan chadhte hue us ne ye socha hoga rahdari mein hare lawn mein phulon ke qarib us ne har samt mujhe aan ke dhunda hoga nam bhule se jo mera kahin aaya hoga ghair-mahsus tariqe se wo chaunka hoga ek jumle ko kai bar sunaya hoga baat karte hue sau bar wo bhula hoga ye jo ladki nai aai hai kahin wo to nahin us ne har chehra yahi soch ke dekha hoga jaan-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baghair hae kis darja wahi bazm mein tanha hoga kabhi sannaton se wahshat jo hui hogi use us ne be-sakhta phir mujh ko pukara hoga chalte chalte koi manus si aahat pa kar doston ko bhi kis uzr se roka hoga yaad kar ke mujhe nam ho gai hongi palken aankh mein pad gaya kuchh kah ke ye tala hoga aur ghabra ke kitabon mein jo li hogi panah har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga jab mili hogi use meri alalat ki khabar us ne aahista se diwar ko thama hoga soch kar ye ki bahal jae pareshani-e-dil yunhi be-wajh kisi shakhs ko roka hoga! ittifaqan mujhe us sham meri dost mili main ne puchha ki suno aae the wo? kaise the? mujh ko puchha tha mujhe dhunda tha chaaron jaanib? us ne ek lamhe ko dekha mujhe aur phir hans di is hansi mein to wo talkhi thi ki is se aage kya kaha us ne mujhe yaad nahin hai lekin itna malum hai khwabon ka bharam tut gaya!